Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

Abbas Rizvi

har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

Abbas Rizvi

MORE BYAbbas Rizvi

    har taraf shor-e-fuġhāñ hai koī suntā nahīñ

    qāfila hai ki ravāñ hai koī suntā nahīñ

    ik sadā pūchhtī rahtī hai koī zinda hai

    maiñ kahe jaatā huuñ haañ hai koī suntā nahīñ

    maiñ jo chup thā hama-tan-gosh thī bastī saarī

    ab mire muñh meñ zabāñ hai koī suntā nahīñ

    dekhne vaale to is shahr meñ yuuñ bhī kam the

    ab samā.at bhī girāñ hai koī suntā nahīñ

    ek hañgāma ki is dil meñ bapā rahtā thā

    ab karāñ-tā-ba-karāñ hai koī suntā nahīñ

    kyā sitam hai ki mire shahr meñ merī āvāz

    jaise āvāz-e-sagāñ hai koī suntā nahīñ

    har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin

    qafila hai ki rawan hai koi sunta hi nahin

    ek sada puchhti rahti hai koi zinda hai

    main kahe jata hun han hai koi sunta hi nahin

    main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti sari

    ab mere munh mein zaban hai koi sunta hi nahin

    dekhne wale to is shahr mein yun bhi kam the

    ab samaat bhi giran hai koi sunta hi nahin

    ek hangama ki is dil mein bapa rahta tha

    ab karan-ta-ba-karan hai koi sunta hi nahin

    kya sitam hai ki mere shahr mein meri aawaz

    jaise aawaz-e-sagan hai koi sunta hi nahin

    Source :
    • Book : TASTEER (Pg. 170)
    • Author : Nasiir Ahmed Nasir
    • Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan Market, Lahore (Issue No. 3 October/December. 1997)
    • Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now