har uzv musāfir hai nahīñ kuchh safarī aañkh
hai āḳhir-e-shab umr charāġh-e-saharī aañkh
kyā kartī hai dilkash suḳhan ai rashk-e-parī aañkh
lo siikh ga.ī tarz-e-kalām-e-bashrī aañkh
un āñkhoñ meñ sāne.a ne bhare kuuT ke motī
qismat ye hamārī hai ki ashkoñ se bharī aañkh
bāteñ jo karo naaz se tum muñh ko chhupā kar
sunñe ke liye kaan ho ai rashk-e-parī aañkh
aayā hai mire dil kā ġhubār āñsuoñ ke saath
lo ab to huī mālik-e-ḳhushkī-o-tarī aañkh
ab tak vahī ronā hai vahī hasrat-e-dīdār
ham mar ga.e is par bhī ye kāfir na marī aañkh
tayyār kiyā ḳhāma-e-mū apne mizha se
khīñcheñge magar naqsha-e-nāzuk kamrī aañkh
nargis pe nazar kiije dobāra ki vo kaT jaa.e
ho jaa.e nazar-e-sānī meñ is kī nazarī aañkh
sohbat kā asar sāhab-e-bīnish ko ho kyūñkar
ainak ho agar sabz na ho jaa.e harī aañkh
bātoñ ko zabāñ misl-e-suḳhan muñh se nikal jaa.e
nazzāre ko ho pā-e-nigah se safarī aañkh
tīr-e-mizha-e-yār ko mizhgāñ hī samajhte
kis aañkh se laḌte hī sadā balbe jarī aañkh
raftār to dikhlā ke za-ḳhud rafta banā do
nargis kī tarah hai hama-tan kabk-e-darī aañkh
dāman kī tarah chaak hue aañkh ke parde
o dast-e-junūñ se ki ga.ī jāma-darī aañkh
jo ahl-e-nazar meñ kabhī ḳhud-bīñ nahīñ hotī
dekho ki hai is aib-e-numāyāñ se barī aañkh
kyā qahr sivā āyat-e-abrū huī nāzil
Dar hai na kare da.ava-e-paiġhāmbarī aañkh
kashtī vo liye nuuh kī mānind chale aa.eñ
tūfān bapā kar shab-e-furqat meñ arī aañkh
rahte haiñ 'vazīr' ashk kī jā TukḌe jigar ke
in rozoñ huī kān-e-aqīq-e-jigrī aañkh
har uzw musafir hai nahin kuchh safari aankh
hai aaKHir-e-shab umr charagh-e-sahari aankh
kya karti hai dilkash suKHan ai rashk-e-pari aankh
lo sikh gai tarz-e-kalam-e-bashri aankh
un aankhon mein sanea ne bhare kuT ke moti
qismat ye hamari hai ki ashkon se bhari aankh
baaten jo karo naz se tum munh ko chhupa kar
sunne ke liye kan ho ai rashk-e-pari aankh
aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath
lo ab to hui malik-e-KHushki-o-tari aankh
ab tak wahi rona hai wahi hasrat-e-didar
hum mar gae is par bhi ye kafir na mari aankh
tayyar kiya KHama-e-mu apne mizha se
khinchenge magar naqsha-e-nazuk kamri aankh
nargis pe nazar kije dobara ki wo kaT jae
ho jae nazar-e-sani mein is ki nazari aankh
sohbat ka asar sahab-e-binish ko ho kyunkar
ainak ho agar sabz na ho jae hari aankh
baaton ko zaban misl-e-suKHan munh se nikal jae
nazzare ko ho pa-e-nigah se safari aankh
tir-e-mizha-e-yar ko mizhgan hi samajhte
kis aankh se laDte hi sada balbe jari aankh
raftar to dikhla ke za-KHud rafta bana do
nargis ki tarah hai hama-tan kabk-e-dari aankh
daman ki tarah chaak hue aankh ke parde
o dast-e-junun se ki gai jama-dari aankh
jo ahl-e-nazar mein kabhi KHud-bin nahin hoti
dekho ki hai is aib-e-numayan se bari aankh
kya qahr siwa aayat-e-abru hui nazil
Dar hai na kare dawa-e-paighambari aankh
kashti wo liye nuh ki manind chale aaen
tufan bapa kar shab-e-furqat mein ari aankh
rahte hain 'wazir' ashk ki ja TukDe jigar ke
in rozon hui kan-e-aqiq-e-jigri aankh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.