Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf apne hi maani ki tarah hota hai

Faisal Ajmi

harf apne hi maani ki tarah hota hai

Faisal Ajmi

MORE BYFaisal Ajmi

    harf apne ma.ānī tarah hotā hai

    pyaas zā.iqa paanī tarah hotā hai

    maiñ bhī ruktā huuñ magar reg-e-ravāñ sūrat

    merā Thahrāo ravānī tarah hotā hai

    tere jaate maiñ shiknoñ se na bhar jā.ūñ kahīñ

    kyuuñ judā mujh se javānī tarah hotā hai

    jism thaktā nahīñ chalne se ki vahshat safar

    ḳhvāb meñ naql-e-makānī tarah hotā hai

    chāñd Dhaltā hai to us bhī mujhe dukh 'faisal'

    kisī gum-gashta nishānī tarah hotā hai

    harf apne hi maani ki tarah hota hai

    pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai

    main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat

    mera Thahrao rawani ki tarah hota hai

    tere jate hi main shiknon se na bhar jaun kahin

    kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai

    jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar

    KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai

    chand Dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh 'faisal'

    kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now