hausle kya us but-e-be-jaan ke
hausle kyā us but-e-be-jān ke
saare jhagḌe haiñ dil-e-nādān ke
naaz hai kis baat par insān ko
kis tarah chaltā hai siina taan ke
khet jal-thal kar diye sailāb ne
mar ga.e armān sab dahqān ke
de rahe haiñ maat ab shaitān ko
kārnāme hazrat-e-insān ke
chhup-chhupā ke vaar ham karte nahīñ
ham khilāḌī haiñ khule maidān ke
jab se badlī haiñ nigāheñ yaar ne
paḌ ga.e haiñ laale 'afzal' jaan ke
hausle kya us but-e-be-jaan ke
sare jhagDe hain dil-e-nadan ke
naz hai kis baat par insan ko
kis tarah chalta hai sina tan ke
khet jal-thal kar diye sailab ne
mar gae arman sab dahqan ke
de rahe hain mat ab shaitan ko
karname hazrat-e-insan ke
chhup-chhupa ke war hum karte nahin
hum khilaDi hain khule maidan ke
jab se badli hain nigahen yar ne
paD gae hain lale 'afzal' jaan ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.