Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ki zad mein patte ki tarah tha

Saleem Shahzad

hawa ki zad mein patte ki tarah tha

Saleem Shahzad

MORE BYSaleem Shahzad

    havā zad meñ patte tarah thā

    vo ik zaḳhmī parinde tarah thā

    kabhī hañgāma-zā thā be-sabab vo

    kabhī gūñge tamāshe tarah thā

    khilaunoñ numā.ish thī jahāñ vo

    kisī gum-gashta bachche tarah thā

    sañbhaltā kyā ki sar sar sail meñ vo

    ukhaḌte girte ḳheme tarah thā

    ugaltā bulbule phuul aur sho'le

    vo chābī ke khilaune tarah thā

    the us ke bāl-o-par qaiñchī zad meñ

    vahī tanhā farishte tarah thā

    anā-inkār meñ ā.īna TuuTā

    jo bār-e-dosh chehre tarah thā

    hawa ki zad mein patte ki tarah tha

    wo ek zaKHmi parinde ki tarah tha

    kabhi hangama-za tha be-sabab wo

    kabhi gunge tamashe ki tarah tha

    khilaunon ki numaish thi jahan wo

    kisi gum-gashta bachche ki tarah tha

    sanbhalta kya ki sar sar sail mein wo

    ukhaDte girte KHeme ki tarah tha

    ugalta bulbule phul aur sho'le

    wo chabi ke khilaune ki tarah tha

    the us ke baal-o-par qainchi ki zad mein

    wahi tanha farishte ki tarah tha

    ana-inkar mein aaina TuTa

    jo bar-e-dosh chehre ki tarah tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now