hawa se baat chali teri KHushbu lane ki
havā se baat chalī terī ḳhushbū laane kī
udaas shaam ne koshish kī muskurāne kī
dhueñ kī rail chalī manzaroñ meñ dukh gūñjā
safar kī baat bhī hai baat chhoḌ jaane kī
ye shahr ḳhvāb-zada hai yahāñ kī galiyoñ meñ
diye kī lau se zarūrat hai din banāne kī
hamārā ishq abhī ras pakaḌne vaalā thā
havā-e-hijr ko jaldī thī phal girāne kī
lakīr khīñch ke kāġhaz ko moḌe jaate ho
ajiib naqsh-garī hai ye phaḌphaḌāne kī
hawa se baat chali teri KHushbu lane ki
udas sham ne koshish ki muskurane ki
dhuen ki rail chali manzaron mein dukh gunja
safar ki baat bhi hai baat chhoD jaane ki
ye shahr KHwab-zada hai yahan ki galiyon mein
diye ki lau se zarurat hai din banane ki
hamara ishq abhi ras pakaDne wala tha
hawa-e-hijr ko jaldi thi phal girane ki
lakir khinch ke kaghaz ko moDe jate ho
ajib naqsh-gari hai ye phaDphaDane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.