hawa se istifada kar liya hai
havā se istifāda kar liyā hai
charāġhoñ ko libāda kar liyā hai
bahut jiine kī ḳhvāhish ho rahī thī
so marne kā irāda kar liyā hai
maiñ ghaTtā jā rahā huuñ apne andar
tumheñ itnā ziyāda kar liyā hai
jo kāñdhoñ par uThā.e phir rahā thā
vo ḳhema īstāda kar liyā hai
na thā kuchh bhī mirī pechīdgī meñ
to maiñ ne ḳhud ko saada kar liyā hai
hawa se istifada kar liya hai
charaghon ko libaada kar liya hai
bahut jine ki KHwahish ho rahi thi
so marne ka irada kar liya hai
main ghaTta ja raha hun apne andar
tumhein itna ziyaada kar liya hai
jo kandhon par uThae phir raha tha
wo KHema istada kar liya hai
na tha kuchh bhi meri pechidgi mein
to main ne KHud ko sada kar liya hai
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 29)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 31)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.