Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na

Rafia Shabnam Abidi

hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    havā.eñ be-‘ināñ haiñ aaj ghar se duur mat jaao kahā thā

    agar jaao chale jaanā magar jaldī lauT aao kahā thā

    kahā thā ye duniyā kab kisī saath detī hai farebī hai

    kisī par mat yaqīñ karnā zarā socho qasam khaao kahā thā

    kahā to thā ki bāhar ke nazāre ḳhūbsūrat haiñ magar sach hai

    ye sab parchhā.iyāñ haiñ in se dil apnā na bahlāo kahā thā

    kahā ye bhī thā dushman tez hai ‘ayyār hai tarrār-o-shātir hai

    tum apne haath se apne liye mat jaal phailāo kahā thā

    mirī bāteñ hamesha tumheñ yūñhī lagtī haiñ to mat sunñā

    magar kuchh ho jaa.e to na pachhtāo na ghabrāo kahā thā

    kahā sab kuchh to thā us din kahāñ lekin tumheñ sunñā gavārā thā

    balāoñ se jo bachnā ho mire dāman meñ aa jaao kahā thā

    ḳhabar hai pata hai ye dāman dhuup se tum ko bachā legā

    ki ab to merī bātoñ par yaqīñ kar lo idhar aao na pachhtāo kahā thā

    hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na

    agar jao chale jaana magar jaldi hi lauT aao kaha tha na

    kaha tha na ye duniya kab kisi ka sath deti hai farebi hai

    kisi par mat yaqin karna zara socho qasam khao kaha tha na

    kaha to tha ki bahar ke nazare KHubsurat hain magar sach hai

    ye sab parchhaiyan hain in se dil apna na bahlao kaha tha na

    kaha ye bhi tha dushman tez hai ‘ayyar hai tarrar-o-shatir hai

    tum apne hath se apne liye mat jal phailao kaha tha na

    meri baaten hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunna

    magar kuchh ho hi jae to na pachhtao na ghabrao kaha tha na

    kaha sab kuchh to tha us din kahan lekin tumhein sunna gawara tha

    balaon se jo bachna ho mere daman mein aa jao kaha tha na

    KHabar hai na pata hai na ye daman dhup se tum ko bacha lega

    ki ab to meri baaton par yaqin kar lo idhar aao na pachhtao kaha tha na

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now