hazar aarzu ho tum yaqin ho tum guman ho tum
hazār aarzū ho tum yaqīñ ho tum gumāñ ho tum
qafas-nasīb ruuh kī umīd-e-āshiyāñ ho tum
diloñ ko aa ke dekh lo yaqīñ nahīñ gumāñ ho tum
lab-e-fasāna-sāz par barā.e-dāstāñ ho tum
ġhubār ban ke aarzū ravāñ-davāñ hai kū-bakū
kahīñ se kuchh sadā to do kahāñ ho tum kahāñ ho tum
rah-e-darāz-e-zindagī meñ rahravoñ kī ḳhair ho
ki naaqa bad-qadam hai aur sharīr sārbāñ ho tum
jabīñ ne khīñch to liyā tumheñ zamīr-e-sang se
hujūm-e-sajda kī qasam magar abhī nihāñ ho tum
zabāñ gul-o-giyāh kī hai shikva-sanj-e-be-dilī
yahī tumhārā baaġh hai isī ke bāġhbāñ ho tum
ba-har-fusūñ tumheñ bas ik mazāq-e-dāstāñ-girī
kahīñ dil-e-jaras ho tum kahīñ lab-e-azāñ ho tum
na ḳhatt-e-jāda-e-qadam na sham.a-e-manzil-e-nazar
abhī to kārvāñ ko ek hū-e-kārvāñ ho tum
hazar aarzu ho tum yaqin ho tum guman ho tum
qafas-nasib ruh ki umid-e-ashiyan ho tum
dilon ko aa ke dekh lo yaqin nahin guman ho tum
lab-e-fasana-saz par barae-dastan ho tum
ghubar ban ke aarzu rawan-dawan hai ku-baku
kahin se kuchh sada to do kahan ho tum kahan ho tum
rah-e-daraaz-e-zindagi mein rahrawon ki KHair ho
ki naqa bad-qadam hai aur sharir sarban ho tum
jabin ne khinch to liya tumhein zamir-e-sang se
hujum-e-sajda ki qasam magar abhi nihan ho tum
zaban gul-o-giyah ki hai shikwa-sanj-e-be-dili
yahi tumhaara bagh hai isi ke baghban ho tum
ba-har-fusun tumhein bas ek mazaq-e-dastan-giri
kahin dil-e-jaras ho tum kahin lab-e-azan ho tum
na KHatt-e-jada-e-qadam na shama-e-manzil-e-nazar
abhi to karwan ko ek hu-e-karwan ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.