Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazar shama farozan ho raushni ke liye

Nushur Wahidi

hazar shama farozan ho raushni ke liye

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    hazār sham.a farozāñ ho raushnī ke liye

    nazar nahīñ to añdherā hai aadmī ke liye

    ta.alluqāt duniyā bhī aadmī ke liye

    ik ajnabī tasavvur hai ajnabī ke liye

    chaman chaman hai mohabbat jahāñ jahāñ se jamāl

    ye ehtimām hai ik dil zindagī ke liye

    shab-e-nashāt mubārak tujhe ye māh-o-nujūm

    sahar bahut hai mirī kam-sitārgī ke liye

    nigāh-e-dost salāmat ki faiz-e-girya se

    bahut guhar haiñ mire dāman-e-tahī ke liye

    nigāh-e-mast sahbā Tapak rahī hai 'nushūr'

    ġhazal kahī hai tabī.at sarḳhushī ke liye

    hazar shama farozan ho raushni ke liye

    nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye

    talluqat ki duniya bhi aadmi ke liye

    ek ajnabi sa tasawwur hai ajnabi ke liye

    chaman chaman hai mohabbat jahan jahan se jamal

    ye ehtimam hai ek dil ki zindagi ke liye

    shab-e-nashat mubarak tujhe ye mah-o-nujum

    sahar bahut hai meri kam-sitargi ke liye

    nigah-e-dost salamat ki faiz-e-girya se

    bahut guhar hain mere daman-e-tahi ke liye

    nigah-e-mast ki sahba Tapak rahi hai 'nushur'

    ghazal kahi hai tabiat ki sarKHushi ke liye

    Source :
    • Book : Sawad-e-manzil (Pg. 187)
    • Author : Nushoor Wahedi
    • Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now