ho koi masala apna dua par chhoD dete hain
ho koī mas.ala apnā duā par chhoḌ dete haiñ
use ḳhud hal nahīñ karne ḳhudā par chhoḌ dete haiñ
tumhārī yaad ke bādal baraste haiñ kahāñ āḳhir
chalo ye silsila kaalī ghaTā par chhoḌ dete haiñ
use sar par biThā.e dar-ba-dar phirte raheñ kab tak
ghuTan kā bojh ham dosh-e-havā par chhoḌ dete haiñ
na tum mānoge sachchā.ī na ham se jhuuT sambhlegā
haqīqat kyā hai ham ahl-e-safā par chhoḌ dete haiñ
khileñge zaḳhm siine meñ ki jazboñ kī numū hogī
jo kal hogā use kal kī adā par chhoḌ dete haiñ
ta.alluq tum se jo bhī hai nahīñ ma.alūm kal kyā ho
chalo ye faisla apnā ḳhudā par chhoḌ dete haiñ
ho koi masala apna dua par chhoD dete hain
use KHud hal nahin karne KHuda par chhoD dete hain
tumhaari yaad ke baadal baraste hain kahan aaKHir
chalo ye silsila kali ghaTa par chhoD dete hain
use sar par biThae dar-ba-dar phirte rahen kab tak
ghuTan ka bojh hum dosh-e-hawa par chhoD dete hain
na tum manoge sachchai na hum se jhuT sambhlega
haqiqat kya hai hum ahl-e-safa par chhoD dete hain
khilenge zaKHm sine mein ki jazbon ki numu hogi
jo kal hoga use kal ki ada par chhoD dete hain
talluq tum se jo bhi hai nahin malum kal kya ho
chalo ye faisla apna KHuda par chhoD dete hain
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.