ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein
ho saktā hai koī hameñ bhī DhūñDe in banjāroñ meñ
jaane kis kī khoj meñ kab se phirte haiñ bāzāroñ meñ
umr gañvā.ī khoj meñ jis kī DhūñD phire gulzāroñ meñ
qismat kī ye ḳhūbī dekho aan milā vīrānoñ meñ
koī nahīñ jo tere aage husn kā paikar ban kar aa.e
shardhā kī kaliyāñ muskā.eñ qudrat kī sauġhātoñ meñ
aap kī ḳhushiyoñ kī sarhad se duur hamāre Dere haiñ
DhūñDeñge kuchh log hameñ bhī aap ke in afsānoñ meñ
aan mile to bhuul kā jaadū ham donoñ par taarī hai
kaun batā.e kal kyā guzrī furqat kī barsātoñ meñ
marne kī ḳhātir jiinā hī jiine kā dastūr nahīñ
naam hamārā aage hogā duniyā ke nākāroñ meñ
ho sakta hai koi hamein bhi DhunDe in banjaron mein
jaane kis ki khoj mein kab se phirte hain bazaron mein
umr ganwai khoj mein jis ki DhunD phire gulzaron mein
qismat ki ye KHubi dekho aan mila viranon mein
koi nahin jo tere aage husn ka paikar ban kar aae
shardha ki kaliyan muskaen qudrat ki saughaton mein
aap ki KHushiyon ki sarhad se dur hamare Dere hain
DhunDenge kuchh log hamein bhi aap ke in afsanon mein
aan mile to bhul ka jadu hum donon par tari hai
kaun batae kal kya guzri furqat ki barsaton mein
marne ki KHatir jina hi jine ka dastur nahin
nam hamara aage hoga duniya ke nakaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.