hosh o KHirad ganwa ke tere intizar mein
hosh o ḳhirad gañvā ke tire intizār meñ
gum kar diyā hai ḳhud ko ġhamoñ ke ġhubār meñ
maiñ us ke saath saath bahut duur tak ga.ī
ab us ko chhoḌnā bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
rañg-e-hinā hai aaj bhī mamnūn is liye
mere lahū kā rañg thā jashn-e-bahār meñ
ik vasl kī ghaḌī ko tarastī rahī sadā
ik tishnagī sadā rahī dil ke dayār meñ
har shaḳhs ko fareb-e-nazar ne kiyā shikār
har shaḳhs gum hai gumbad-e-jāñ ke hisār meñ
hosh o KHirad ganwa ke tere intizar mein
gum kar diya hai KHud ko ghamon ke ghubar mein
main us ke sath sath bahut dur tak gai
ab us ko chhoDna bhi nahin iKHtiyar mein
rang-e-hina hai aaj bhi mamnun is liye
mere lahu ka rang tha jashn-e-bahaar mein
ek wasl ki ghaDi ko tarasti rahi sada
ek tishnagi sada rahi dil ke dayar mein
har shaKHs ko fareb-e-nazar ne kiya shikar
har shaKHs gum hai gumbad-e-jaan ke hisar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.