husn-dar-husn phir aazmane ke baad
husn-dar-husn phir āzmāne ke baad
ḳhuun ronā paḌā dil lagāne ke baad
un raqīboñ meñ photo khiñchāne ke baad
kyā milegā tumheñ jī jalāne ke ba.ad
is qadar mujh pe martī hai paglī koī
rone lagtī hai d p haTāne ke baad
vo patang thī kaTī aur chalī bhī ga.ī
haath dhāgā bachā bas uḌāne ke baad
ishq to dūriyoñ meñ bhī miTtā nahīñ
rūThtī hai havas duur jaane ke baad
lag ke bahtī thī 'sāhil' se kal jo nadī
kaT ga.ī mujh se sāgar meñ jaane ke baad
husn-dar-husn phir aazmane ke baad
KHun rona paDa dil lagane ke baad
un raqibon mein photo khinchane ke baad
kya milega tumhein ji jalane ke baad
is qadar mujh pe marti hai pagli koi
rone lagti hai d p haTane ke baad
wo patang thi kaTi aur chali bhi gai
hath dhaga bacha bas uDane ke baad
ishq to duriyon mein bhi miTta nahin
ruThti hai hawas dur jaane ke baad
lag ke bahti thi 'sahil' se kal jo nadi
kaT gai mujh se sagar mein jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.