husn hai kafir banane ke liye
husn hai kāfir banāne ke liye
ishq hai īmān laane ke liye
dil milā hai rahm khāne ke liye
ġham milā hai muskurāne ke liye
māñgtā huuñ bāda-e-ishq-e-davām
tishnagī apnī baḌhāne ke liye
ḳhāna-e-dil maiñ ne ḳhālī kar diyā
aap hī ke aane jaane ke liye
le ga.ī kyā de ga.ī mujh ko ḳhizāñ
chaar tinke āshiyāne ke liye
ishq hai ḳhud imtihāñ jān-e-azīz
āzmāne āzmāne ke liye
husn hai kafir banane ke liye
ishq hai iman lane ke liye
dil mila hai rahm khane ke liye
gham mila hai muskurane ke liye
mangta hun baada-e-ishq-e-dawam
tishnagi apni baDhane ke liye
KHana-e-dil main ne KHali kar diya
aap hi ke aane jaane ke liye
le gai kya de gai mujh ko KHizan
chaar tinke aashiyane ke liye
ishq hai KHud imtihan jaan-e-aziz
aazmane aazmane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.