Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ke sehr o karamat se ji Darta hai

Hasan Naim

husn ke sehr o karamat se ji Darta hai

Hasan Naim

MORE BYHasan Naim

    husn ke sehr o karāmāt se Dartā hai

    ishq zinda rivāyāt se Dartā hai

    maiñ ne maanā ki mujhe un se mohabbat na rahī

    ham-nashīñ phir bhī mulāqāt se Dartā hai

    sach to ye ki abhī dil ko sukūñ hai lekin

    apne āvāra ḳhayālāt se Dartā hai

    itnā royā huuñ ġham-e-dost zarā hañs kar

    muskurāte hue lamhāt se Dartā hai

    jo bhī kahnā hai kaho saaf shikāyat sahī

    in ishārāt-o-kināyāt se Dartā hai

    hijr dard na.ī baat nahīñ hai lekin

    din vo guzrā hai ki ab raat se Dartā hai

    kaun bhūlā hai 'na.īm' un mohabbat fareb

    phir bhī in taaza ināyāt se Dartā hai

    husn ke sehr o karamat se ji Darta hai

    ishq ki zinda riwayat se ji Darta hai

    main ne mana ki mujhe un se mohabbat na rahi

    ham-nashin phir bhi mulaqat se ji Darta hai

    sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin

    apne aawara KHayalat se ji Darta hai

    itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar

    muskuraate hue lamhat se ji Darta hai

    jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi

    in ishaaraat-o-kinayat se ji Darta hai

    hijr ka dard nai baat nahin hai lekin

    din wo guzra hai ki ab raat se ji Darta hai

    kaun bhula hai 'naim' un ki mohabbat ka fareb

    phir bhi in taza inayat se ji Darta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    husn ke sehr o karamat se ji Darta hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now