ek daere ki shakl mein khincha hua hisar
ik dā.ere kī shakl meñ khīñchā huā hisār
yalġhār se kuchh aur bhī badlā huā hisār
ik shahr-e-ḳhvāb thā ki jahāñ qil.a-band the
a.adā kī yūrishoñ se tavānā huā hisār
chāhe rasad ke rāste masdūd the bahut
jitnā baḌhā muhāsara puḳhta huā hisār
ābād bastiyāñ thiiñ fasīloñ ke saa.e meñ
aapas meñ bastiyoñ ko milātā huā hisār
indar se rah kisī ne dikhā.ī ġhanīm ko
phir maiñ thā aur sāmne girtā huā hisār
ek daere ki shakl mein khincha hua hisar
yalghaar se kuchh aur bhi badla hua hisar
ek shahr-e-KHwab tha ki jahan qila-band the
aada ki yurishon se tawana hua hisar
chahe rasad ke raste masdud the bahut
jitna baDha muhasara puKHta hua hisar
aabaad bastiyan thin fasilon ke sae mein
aapas mein bastiyon ko milata hua hisar
indar se rah kisi ne dikhai ghanim ko
phir main tha aur samne girta hua hisar
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 538)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.