ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham
ik dard sā pahlū meñ machaltā hai sar-e-shām
jab chāñd jharoke meñ nikaltā hai sar-e-shām
be-nām sī ik aag dahak uThtī hai dil meñ
mahtāb jo ThanDak sī ugaltā hai sar-e-shām
kuchh der shafaq phūltī hai jaise ufuq par
aise hī mirā haal sañbhaltā hai sar-e-shām
ye dil hai mirā yā kisī kuTiyā kā diyā hai
bujhtā hai dam-e-sub.h to jaltā hai sar-e-shām
bantā hai vo ik chehra kabhī gul kabhī sho'la
sāñche meñ ḳhayāloñ ke jo Dhaltā hai sar-e-shām
chhaT jaatī hai ālām-e-zamāna kī siyāhī
jab daur tirī yaad kā chaltā hai sar-e-shām
maiñ duur bahut duur pahuñch jaatā huuñ 'tā.ib'
ruḳh soch kā dhārā jo badaltā hai sar-e-shām
ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham
jab chand jharoke mein nikalta hai sar-e-sham
be-nam si ek aag dahak uThti hai dil mein
mahtab jo ThanDak si ugalta hai sar-e-sham
kuchh der shafaq phulti hai jaise ufuq par
aise hi mera haal sanbhalta hai sar-e-sham
ye dil hai mera ya kisi kuTiya ka diya hai
bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham
banta hai wo ek chehra kabhi gul kabhi sho'la
sanche mein KHayalon ke jo Dhalta hai sar-e-sham
chhaT jati hai aalam-e-zamana ki siyahi
jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham
main dur bahut dur pahunch jata hun 'taib'
ruKH soch ka dhaara jo badalta hai sar-e-sham
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.