ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha
ik ḳhvāb niiñd kā thā sabab, jo nahīñ rahā
us kā qalaq hai aisā ki maiñ so nahīñ rahā
vo ho rahā hai jo maiñ nahīñ chāhtā ki ho
aur jo maiñ chāhtā huuñ vahī ho nahīñ rahā
nam diida huuñ, ki terī ḳhushī par huuñ ḳhush bahut
chal chhoḌ, tujh se kah jo diyā, ro nahīñ rahā
ye zaḳhm jis ko vaqt kā marham bhī kuchh nahīñ
ye dāġh, sail-e-girya jise dho nahīñ rahā
ab bhī hai rañj, rañj bhī ḳhāsā shadīd hai
vo dil ko chīrtā huā ġham go nahīñ rahā
ābād mujh meñ tere sivā aur kaun hai?
tujh se bichhaḌ rahā huuñ tujhe kho nahīñ rahā
kyā be-hisī kā daur hai logo ki ab ḳhayāl
apne sivā kisī kā kisī ko nahīñ rahā
ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha
us ka qalaq hai aisa ki main so nahin raha
wo ho raha hai jo main nahin chahta ki ho
aur jo main chahta hun wahi ho nahin raha
nam dida hun, ki teri KHushi par hun KHush bahut
chal chhoD, tujh se kah jo diya, ro nahin raha
ye zaKHm jis ko waqt ka marham bhi kuchh nahin
ye dagh, sail-e-girya jise dho nahin raha
ab bhi hai ranj, ranj bhi KHasa shadid hai
wo dil ko chirta hua gham go nahin raha
aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha
kya be-hisi ka daur hai logo ki ab KHayal
apne siwa kisi ka kisi ko nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.