Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai

Gauhar Shaikh Purwi

ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai

Gauhar Shaikh Purwi

MORE BYGauhar Shaikh Purwi

    ik pal bhī kahīñ rāhat-o-ārām nahīñ hai

    ye ishq āġhāz hai anjām nahīñ hai

    Dartā huuñ ki gardish na zamāne Thahar jaa.e

    ab haath meñ sūraj hai mire jaam nahīñ hai

    kyā luuT liyā rindoñ ne mai-ḳhāna saarā

    merī qismat meñ koī jaam nahīñ hai

    jis paap duniyā meñ hai rāvan baserā

    us svarg dhartī pe koī raam nahīñ hai

    maiñ ne nikhārā hai tirā rang-e-mohabbat

    aur merā tirī bazm meñ kuchh kaam nahīñ hai

    tum ne sitam Dhaa.e haiñ tum ne jafā

    maiñ kaise kahūñ tum pe kuchh ilzām nahīñ hai

    sab kuchh hai jab apnā to maiñ soch rahā huuñ

    insān ko kyoñ pahlā ārām nahīñ hai

    mere gunāhoñ pe nazar kyoñ hai jahāñ

    hai kaun jo is daur meñ badnām nahīñ hai

    hairat hai ki us ko nahīñ jāntā lekin

    is shahr meñ 'gauhar' koī gum-nām nahīñ hai

    ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai

    ye ishq ka aaghaz hai anjam nahin hai

    Darta hun ki gardish na zamane ki Thahar jae

    ab hath mein suraj hai mere jam nahin hai

    kya luT liya rindon ne mai-KHana hi sara

    ya meri hi qismat mein koi jam nahin hai

    jis pap ki duniya mein hai rawan ka basera

    us swarg si dharti pe koi ram nahin hai

    main ne hi nikhaara hai tera rang-e-mohabbat

    aur mera teri bazm mein kuchh kaam nahin hai

    tum ne hi sitam Dhae hain tum ne hi jafa ki

    main kaise kahun tum pe kuchh ilzam nahin hai

    sab kuchh hai jab apna hi to main soch raha hun

    insan ko kyon pahla sa aaram nahin hai

    mere hi gunahon pe nazar kyon hai jahan ki

    hai kaun jo is daur mein badnam nahin hai

    hairat hai ki tu us ko nahin jaanta lekin

    is shahr mein 'gauhar' koi gum-nam nahin hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now