ek raaz-e-gham-e-dil jab KHud rah na saka dil tak
ik rāz-e-ġham-e-dil jab ḳhud rah na sakā dil tak
hone do ye rusvā.ī tum tak ho ki mahfil tak
afsāna mohabbat kā puurā ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qātil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
bas ek nazar jis kī ātish-zan-e-mahfil hai
vo barq-e-mujassam hai mahdūd mire dil tak
ye rāh-e-mohabbat hai sab is meñ barābar haiñ
bhaTke hue raahī se ḳhizar-e-rah-e-manzil tak
hai 'azm-e-javāñ sab kuchh tūfān-e-havādis meñ
sāhil kā bharosa kyā ye jaatā hai sāhil tak
ek raaz-e-gham-e-dil jab KHud rah na saka dil tak
hone do ye ruswai tum tak ho ki mahfil tak
afsana mohabbat ka pura ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
bas ek nazar jis ki aatish-zan-e-mahfil hai
wo barq-e-mujassam hai mahdud mere dil tak
ye rah-e-mohabbat hai sab is mein barabar hain
bhaTke hue rahi se KHizar-e-rah-e-manzil tak
hai 'azm-e-jawan sab kuchh tufan-e-hawadis mein
sahil ka bharosa kya ye jata hai sahil tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.