in mausamon mein nachte gate rahenge hum
in mausamoñ meñ nāchte gaate raheñge ham
hañste raheñge shor machāte raheñge ham
lab suukh kyuuñ na jaa.eñ galā baiTh kyuuñ na jaa.e
dil meñ haiñ jo savāl uThāte raheñge ham
apnī rah-e-sulūk meñ chup rahnā manā hai
chup rah ga.e to jaan se jaate raheñge ham
nikle to is tarah ki dikhā.ī nahīñ diye
Duube to der tak nazar aate raheñge ham
dukh ke safar pe dil ko ravāna to kar diyā
ab saarī umr haath hilāte raheñge ham
in mausamon mein nachte gate rahenge hum
hanste rahenge shor machate rahenge hum
lab sukh kyun na jaen gala baiTh kyun na jae
dil mein hain jo sawal uThate rahenge hum
apni rah-e-suluk mein chup rahna mana hai
chup rah gae to jaan se jate rahenge hum
nikle to is tarah ki dikhai nahin diye
Dube to der tak nazar aate rahenge hum
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya
ab sari umr hath hilate rahenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.