iqbaal ka zaman hai jo hai zaman hamara
iqbaal ka zaman hai jo hai zaman hamara
Meer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
MORE BYMeer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
iqbāl kā zamāñ hai jo hai zamāñ hamārā
hindostāñ hamārā saarā jahāñ hamārā
taksīriyat kā hāmil jamhūriyat kā hāmil
azmat-nishāñ sarāsar hindostāñ hamārā
zar kī havas nahīñ kuchh shohrat meñ ras nahīñ kuchh
sar par rahe salāmat ik sā.ebāñ hamārā
rakkhe haiñ ham ne chun ke garche haiñ chaar tinke
ham ko aziiz jaañ se ye āshiyāñ hamārā
mahv-e-duā hai har dam urdu zabāñ hamārī
yā-rab rahe salāmat amn-o-amāñ hamārā
har gul kā rang alag hai har gul kī bū judā hai
har dam rahe mahaktā ye gulsitāñ hamārā
zehn-o-dil-o-zabāñ par sah-rangī hai tarāna
fat.h-o-zafar kā parcham qaumī nishāñ hamārā
iqbaal ka zaman hai jo hai zaman hamara
hindostan hamara sara jahan hamara
taksiriyat ka hamil jamhuriyat ka hamil
azmat-nishan sarasar hindostan hamara
zar ki hawas nahin kuchh shohrat mein ras nahin kuchh
sar par rahe salamat ek saeban hamara
rakkhe hain hum ne chun ke garche hain chaar tinke
hum ko aziz jaan se ye aashiyan hamara
mahw-e-dua hai har dam urdu zaban hamari
ya-rab rahe salamat amn-o-aman hamara
har gul ka rang alag hai har gul ki bu juda hai
har dam rahe mahakta ye gulsitan hamara
zehn-o-dil-o-zaban par sah-rangi hai tarana
fath-o-zafar ka parcham qaumi nishan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.