is bhari duniya mein koi bhi hamara na hua
Interesting Fact
Film: Bharosa (1963)
is bharī duniyā meñ koī bhī hamārā na huā
ġhair to ġhair haiñ apnoñ kā sahārā na huā
log ro ro ke bhī is duniyā meñ jī lete haiñ
ek ham haiñ ki hañse bhī to guzārā na huā
ik mohabbat ke sivā aur na kuchh māñgā thā
kyā kareñ ye bhī zamāne ko gavārā na huā
āsmāñ jitne sitāre haiñ tirī mahfil meñ
apnī taqdīr kā hī koī sitāra na huā
is bhari duniya mein koi bhi hamara na hua
ghair to ghair hain apnon ka sahaara na hua
log ro ro ke bhi is duniya mein ji lete hain
ek hum hain ki hanse bhi to guzara na hua
ek mohabbat ke siwa aur na kuchh manga tha
kya karen ye bhi zamane ko gawara na hua
aasman jitne sitare hain teri mahfil mein
apni taqdir ka hi koi sitara na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.