is dasht-e-be-panah ki had par bhi KHush nahin
is dasht-e-be-panāh kī had par bhī ḳhush nahīñ
maiñ apnī ḳhvāhishoñ se bichhaḌ kar bhī ḳhush nahīñ
ik sarḳhushī muhīt hai chāroñ taraf magar
bastī meñ koī shaḳhs koī ghar bhī ḳhush nahīñ
kitne haiñ log ḳhud ko jo kho kar udaas haiñ
aur kitne apne-āp ko pā kar bhī ḳhush nahīñ
ye kaifiyat ġhulām nahīñ qaid-o-band kī
andar jo apne ḳhush nahīñ bāhar bhī ḳhush nahīñ
sāhil kī bhīgī ret pe chaltā barahna-pā
maiñ huuñ udaas aur samundar bhī ḳhush nahīñ
is dasht-e-be-panah ki had par bhi KHush nahin
main apni KHwahishon se bichhaD kar bhi KHush nahin
ek sarKHushi muhit hai chaaron taraf magar
basti mein koi shaKHs koi ghar bhi KHush nahin
kitne hain log KHud ko jo kho kar udas hain
aur kitne apne-ap ko pa kar bhi KHush nahin
ye kaifiyat ghulam nahin qaid-o-band ki
andar jo apne KHush nahin bahar bhi KHush nahin
sahil ki bhigi ret pe chalta barahna-pa
main hun udas aur samundar bhi KHush nahin
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.