is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar
is ke aage pyaar ke jazboñ kī ārā.ish na kar
zard registān meñ phūloñ kī afzā.ish na kar
ye to ho saktā hai ki donoñ kī manzil ek ho
phir bhī us ke ham-safar hone kī farmā.ish na kar
munhasir us par bhī hai vo paas aa.e yā na aa.e
ai mire dil qurbatoñ kī mujh se farmā.ish na kar
ham ne maanā chāñd sā raushan tirā mahbūb hai
tū magar us chāñd kī lafzoñ se paimā.ish na kar
ḳhud pe jo nāzāñ hai 'anvar' terī chāhat par nahīñ
us parī-paikar ke aage dil kī zebā.ish na kar
is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar
zard registan mein phulon ki afzaish na kar
ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho
phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na kar
munhasir us par bhi hai wo pas aae ya na aae
ai mere dil qurbaton ki mujh se farmaish na kar
hum ne mana chand sa raushan tera mahbub hai
tu magar us chand ki lafzon se paimaish na kar
KHud pe jo nazan hai 'anwar' teri chahat par nahin
us pari-paikar ke aage dil ki zebaish na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.