is KHarabi ki koi had hai ki mere ghar se
is ḳharābī kī koī had hai ki mere ghar se
sañg uThā.e dar-o-dīvār nikal aate haiñ
kyā qayāmat hai ki dar-qāfila-e-rahrav-e-shauq
kuchh qayāmat ke bhī hamvār nikal aate haiñ
itnā hairān na ho merī anā par pyāre
ishq meñ bhī ka.ī ḳhuddār nikal aate haiñ
is qadar ḳhasta-tanī hai ki gale milte hue
us kī bāñhoñ se bhī ham paar nikal aate haiñ
juz tire ḳhud bhī maiñ taslīm nahīñ huuñ ḳhud ko
dil se pūchhūñ bhī to inkār nikal aate haiñ
is KHarabi ki koi had hai ki mere ghar se
sang uThae dar-o-diwar nikal aate hain
kya qayamat hai ki dar-qafila-e-rahraw-e-shauq
kuchh qayamat ke bhi hamwar nikal aate hain
itna hairan na ho meri ana par pyare
ishq mein bhi kai KHuddar nikal aate hain
is qadar KHasta-tani hai ki gale milte hue
us ki banhon se bhi hum par nikal aate hain
juz tere KHud bhi main taslim nahin hun KHud ko
dil se puchhun bhi to inkar nikal aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.