is par jahan-e-raftagan hai
is paar jahān-e-raftagāñ hai
ik dard kī raat darmiyāñ hai
āñkheñ haiñ ki rahguzār-e-sailāb
aur dil hai ki Dūbtā makāñ hai
achchhā hai ki sirf ishq kiije
ye umr to yuuñ bhī rā.egāñ hai
kis yaad kī chāñdnī hai dil meñ
ik lahr sī ḳhuun meñ ravāñ hai
yaad aayā vahāñ gire the aañsū
ab sabza o gul jahāñ jahāñ hai
har lahza badal rahī hai duniyā
ai husn-e-sabāt tū kahāñ hai
dukh jhelo to jī kaḌā hī rakhnā
dil hai to hisāb-e-dostāñ hai
is par jahan-e-raftagan hai
ek dard ki raat darmiyan hai
aankhen hain ki rahguzar-e-sailab
aur dil hai ki Dubta makan hai
achchha hai ki sirf ishq kije
ye umr to yun bhi raegan hai
kis yaad ki chandni hai dil mein
ek lahr si KHun mein rawan hai
yaad aaya wahan gire the aansu
ab sabza o gul jahan jahan hai
har lahza badal rahi hai duniya
ai husn-e-sabaat tu kahan hai
dukh jhelo to ji kaDa hi rakhna
dil hai to hisab-e-dostan hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 28.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.