Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar uski mudaraat hai virane mein

Khar Dehlavi

is qadar uski mudaraat hai virane mein

Khar Dehlavi

MORE BYKhar Dehlavi

    is qadar us mudārāt hai vīrāne meñ

    koī to baat hai āḳhir tire dīvāne meñ

    faiz-e-sāqī se jo mahrūm haiñ mai-ḳhāne meñ

    jaane kyā ham se ḳhatā ho ga.ī anjāne meñ

    vaqt baat hai ab us ke taraste haiñ lab

    ''jitnī ham chhoḌ diyā karte the paimāne meñ''

    maiñ ne maanā ki adū bhī tirā shaidā.ī hai

    farq hotā hai fidā hone meñ mar jaane meñ

    dilrubā.ī ke jise ham ne sikhā.e andāz

    jān-e-mahfil hai vahī ġhair ke kāshāne meñ

    har adā dil ke liye dashna-o-ḳhanjar hai magar

    aur baat hai zālim tire sharmāne meñ

    na tasallī na tashaffī na koī pyaar baat

    tujh ko kyā miltā hai kāfir hameñ taḌpāne meñ

    sāqiyā mai jo nahīñ baaqī to talchhaT sahī

    Daal de nām-e-ḳhudā thoḌī paimāne meñ

    merī jānib se tire dil meñ ġhubār aa gayā

    āḳhirash aa gayā ġhair ke bhaḌkāne meñ

    ishq aag sivā kis meñ hai ye kaun kahe

    sham.a ke sīna-e-sozāñ meñ ki parvāne meñ

    'ḳhār' hai jalva-e-asnām se dil ḳhuld-e-barīñ

    parī-zādoñ majma.a hai parī-ḳhāne meñ

    is qadar us ki mudaraat hai virane mein

    koi to baat hai aaKHir tere diwane mein

    faiz-e-saqi se jo mahrum hain mai-KHane mein

    jaane kya hum se KHata ho gai anjaane mein

    waqt ki baat hai ab us ke taraste hain lab

    jitni hum chhoD diya karte the paimane mein

    main ne mana ki adu bhi tera shaidai hai

    farq hota hai fida hone mein mar jaane mein

    dilrubai ke jise hum ne sikhae andaz

    jaan-e-mahfil hai wahi ghair ke kashane mein

    har ada dil ke liye dashna-o-KHanjar hai magar

    aur hi baat hai zalim tere sharmane mein

    na tasalli na tashaffi na koi pyar ki baat

    tujh ko kya milta hai kafir hamein taDpane mein

    saqiya mai jo nahin baqi to talchhaT hi sahi

    Dal de nam-e-KHuda thoDi si paimane mein

    meri jaanib se tere dil mein ghubar aa hi gaya

    aaKHirash aa hi gaya ghair ke bhaDkane mein

    ishq ki aag siwa kis mein hai ye kaun kahe

    shama ke sina-e-sozan mein ki parwane mein

    'KHar' hai jalwa-e-asnam se dil KHuld-e-barin

    ya pari-zadon ka majma hai pari-KHane mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now