isi liye to haar ka hua nahin malal tak
isī liye to haar kā huā nahīñ malāl tak
vo mere saath saath thā uruuj se zavāl tak
nahīñ hai sahl is qadar ki jī sake har ek shaḳhs
balā-e-hijr kī rutoñ se mausam-e-visāl tak
hamārī kisht-e-ārzū ye dhuup kyā jalā.egī
tumhārā intizār ham kareñge barshgāl tak
amiiq zaḳhm is qadar ba-dast-e-roz-o-shab mile
ki mundamil na kar sakī davā-e-māh-o-sāl tak
qubā-e-zard-o-surḳh kā ye imtizāj al-amāñ
jamāl ko vo le gayā pare had-e-kamāl tak
isi liye to haar ka hua nahin malal tak
wo mere sath sath tha uruj se zawal tak
nahin hai sahl is qadar ki ji sake har ek shaKHs
bala-e-hijr ki ruton se mausam-e-visal tak
hamari kisht-e-arzu ye dhup kya jalaegi
tumhaara intizar hum karenge barshgal tak
amiq zaKHm is qadar ba-dast-e-roz-o-shab mile
ki mundamil na kar saki dawa-e-mah-o-sal tak
quba-e-zard-o-surKH ka ye imtizaj al-aman
jamal ko wo le gaya pare had-e-kamal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.