itab-o-qahr ka har ek nishan bolega
itāb-o-qahr kā har ik nishān bolegā
maiñ chup rahā to shikasta makān bolegā
abhī hujūm hai us ko julūs banñe de
tire ḳhilāf har ik be-zabān bolegā
hamārī chīḳh kabhī be-asar nahīñ hogī
zamīñ ḳhamosh sahī āsmān bolegā
jo tum subūt na doge azaab ke din kā
gavāh ban ke ye saarā jahān bolegā
kabhī to aa.egā vo vaqt bhī 'zakī' tāriq
yaqīn ban ke hamārā gumān bolegā
itab-o-qahr ka har ek nishan bolega
main chup raha to shikasta makan bolega
abhi hujum hai us ko julus banne de
tere KHilaf har ek be-zaban bolega
hamari chiKH kabhi be-asar nahin hogi
zamin KHamosh sahi aasman bolega
jo tum subut na doge azab ke din ka
gawah ban ke ye sara jahan bolega
kabhi to aaega wo waqt bhi 'zaki' tariq
yaqin ban ke hamara guman bolega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.