Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itne be-mehr mausamon mein bhi usne had kar di mehrbani ki

Khawar Ahmad

itne be-mehr mausamon mein bhi usne had kar di mehrbani ki

Khawar Ahmad

MORE BYKhawar Ahmad

    itne be-mehr mausamoñ meñ bhī us ne had kar mehrbānī

    kiyā mehmān mujh musāfir ko aur phir dil se mezbānī

    us ke andāz se jhalaktā thā koī kirdār dāstānoñ

    us āvāz se bikhartī thī koī ḳhushbū kisī kahānī

    shaam ḳhāmosh thī so us ne bhī guftugū se gurez karte hue

    jalte jazboñ ko rakkhā āñkhoñ meñ jism se dil tarjumānī

    pahle us ne gale lagāyā aur mujh ko phir le ga.ī bahishtoñ meñ

    ek baat us ne zamīnī dūsrī baat āsmānī

    ab to hālat huī re'āyā ab vo tārīḳh kyā kaheñ 'ḳhāvar'

    dil jo saltanat milī thī hameñ us pe kis kis ne hukmrānī

    itne be-mehr mausamon mein bhi us ne had kar di mehrbani ki

    kiya mehman mujh musafir ko aur phir dil se mezbani ki

    us ke andaz se jhalakta tha koi kirdar dastanon ka

    us ki aawaz se bikharti thi koi KHushbu kisi kahani ki

    sham KHamosh thi so us ne bhi guftugu se gurez karte hue

    jalte jazbon ko rakkha aankhon mein jism se dil ki tarjumani ki

    pahle us ne gale lagaya aur mujh ko phir le gai bahishton mein

    ek baat us ne ki zamini si dusri baat aasmani ki

    ab to haalat hui re'aya si ab wo tariKH kya kahen 'KHawar'

    dil ki jo saltanat mili thi hamein us pe kis kis ne hukmrani ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now