itne KHamosh bhi raha na karo
itne ḳhāmosh bhī rahā na karo
ġham judā.ī meñ yuuñ kiyā na karo
ḳhvāb hote haiñ dekhne ke liye
un meñ jā kar magar rahā na karo
kuchh na hogā gila bhī karne se
zālimoñ se gila kiyā na karo
un se nikleñ hikāyateñ shāyad
harf likh kar miTā diyā na karo
apne rutbe kā kuchh lihāz 'munīr'
yaar sab ko banā liyā na karo
itne KHamosh bhi raha na karo
gham judai mein yun kiya na karo
KHwab hote hain dekhne ke liye
un mein ja kar magar raha na karo
kuchh na hoga gila bhi karne se
zalimon se gila kiya na karo
un se niklen hikayaten shayad
harf likh kar miTa diya na karo
apne rutbe ka kuchh lihaz 'munir'
yar sab ko bana liya na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.