jaane kya soch ke hum tujhse wafa karte hain
jaane kyā soch ke ham tujh se vafā karte haiñ
qarz hai pichhle janm kā so adā karte haiñ
kyā huā jaam uThāte hī bhar aa.iiñ āñkheñ
aise tūfān to har shaam uThā karte haiñ
dil ke zaḳhmoñ pe na jaao ki baḌī muddat se
ye diye yūñhī sar-e-shām jalā karte haiñ
kaun hai jis kā muqaddar na banī tanhā.ī
kyā huā ham bhī agar tujh se gilā karte haiñ
rishta-e-dard kī mīrās milī hai ham ko
ham tire naam pe jiine kī ḳhatā karte haiñ
jaane kya soch ke hum tujh se wafa karte hain
qarz hai pichhle janm ka so ada karte hain
kya hua jam uThate hi bhar aain aankhen
aise tufan to har sham uTha karte hain
dil ke zaKHmon pe na jao ki baDi muddat se
ye diye yunhi sar-e-sham jala karte hain
kaun hai jis ka muqaddar na bani tanhai
kya hua hum bhi agar tujh se gila karte hain
rishta-e-dard ki miras mili hai hum ko
hum tere nam pe jine ki KHata karte hain
- Book : sheerazah (Pg. 52)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.