jaane usne kya dekha shahr ke manare mein
jaane us ne kyā dekhā shahr ke manāre meñ
phir se ho gayā shāmil zindagī ke dhāre meñ
ism bhuul baiThe ham jism bhuul baiThe ham
vo hameñ milī yaaro raat ik sitāre meñ
apne apne ghar jā kar sukh kī niiñd so jaa.eñ
tū nahīñ ḳhasāre meñ maiñ nahīñ ḳhasāre meñ
maiñ ne das baras pahle jis kā naam rakkhā thā
kaam kar rahī hogī jaane kis idāre meñ
maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ
jaane us ne kya dekha shahr ke manare mein
phir se ho gaya shamil zindagi ke dhaare mein
ism bhul baiThe hum jism bhul baiThe hum
wo hamein mili yaro raat ek sitare mein
apne apne ghar ja kar sukh ki nind so jaen
tu nahin KHasare mein main nahin KHasare mein
main ne das baras pahle jis ka nam rakkha tha
kaam kar rahi hogi jaane kis idare mein
maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'
log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 61)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.