jaane wale itna bata do phir tum kab tak aaoge
jaane vaale itnā batā do phir tum kab tak aaoge
phuul bhī ab murjhāne lage haiñ, bolo kab apnāoge
dil ke is album meñ to ab bas tasvīr tumhārī hai
man mandir ke dvaar pe apne tum bhī kuchh laTkāoge
raat kī tanhā.ī meñ jab bhī yaad hamārī aa.egī
niiñd tumhārī uḌ jā.egī aur bahut ghabrāoge
pairoñ kī zanjīreñ kaaTo aur himmat se kaam bhī lo
varna qaid meñ rah kar yuuñ hī jīvan bhar pachhtāoge
duniyā kī ik riit purānī, milnā aur bichhaḌnā hai
ek zamāna biit gayā hai tum kab milne aaoge
ab nahīñ aatā hai sandesa koī tumhārī nagrī se
kis ko thā ma.alūm ki tum begāne se ho jāoge
phūloñ ke din biit na jaa.eñ aao aao aa bhī jaao
kab tak jhūTe va.adoñ se tum 'āzam' ko bahlāoge
jaane wale itna bata do phir tum kab tak aaoge
phul bhi ab murjhane lage hain, bolo kab apnaoge
dil ke is album mein to ab bas taswir tumhaari hai
man mandir ke dwar pe apne tum bhi kuchh laTkaoge
raat ki tanhai mein jab bhi yaad hamari aaegi
nind tumhaari uD jaegi aur bahut ghabraoge
pairon ki zanjiren kaTo aur himmat se kaam bhi lo
warna qaid mein rah kar yun hi jiwan bhar pachhtaoge
duniya ki ek rit purani, milna aur bichhaDna hai
ek zamana bit gaya hai tum kab milne aaoge
ab nahin aata hai sandesa koi tumhaari nagri se
kis ko tha malum ki tum begane se ho jaoge
phulon ke din bit na jaen aao aao aa bhi jao
kab tak jhuTe wadon se tum 'azam' ko bahlaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.