Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare

Amjad Najmi

jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    jab dil nahīñ hai pahlū meñ phir ishq saudā kaun kare

    ab un se mohabbat kaun kare ab un tamannā kaun kare

    ab hijr ke sadme sahne ko patthar kaleja kaun kare

    in lambī lambī rātoñ mar mar ke saverā kaun kare

    ham rasm-e-vafā ko mānte haiñ ādāb-e-mohabbat jānte haiñ

    ham baat tah pahchānte haiñ phir aap ko rusvā kaun kare

    ai jazba-e-ulfat batā kuchh had bhī hai is nākāmī

    māyūs nigāhoñ se un mahfil meñ nazārā kaun kare

    ham dekh chuke haañ dekh chuke dastūr tumhārī mahfil

    jab shukr pe ye pābandī hai phir jur.at-e-shikva kaun kare

    jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare

    ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamanna kaun kare

    ab hijr ke sadme sahne ko patthar ka kaleja kaun kare

    in lambi lambi raaton ka mar mar ke sawera kaun kare

    hum rasm-e-wafa ko mante hain aadab-e-mohabbat jaante hain

    hum baat ki tah pahchante hain phir aap ko ruswa kaun kare

    ai jazba-e-ulfat tu hi bata kuchh had bhi hai is nakaami ki

    mayus nigahon se un ka mahfil mein nazara kaun kare

    hum dekh chuke han dekh chuke dastur tumhaari mahfil ka

    jab shukr pe ye pabandi hai phir jurat-e-shikwa kaun kare

    Source:

    Joye Kahkashan (Pg. 125)

    • Author: Amjad Najmi
      • Edition: 1969
      • Publisher: Ddisha Sahitya Academy, Bhubaneswar
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now