jab pyar nahin hai to bhula kyun nahin dete
jab pyaar nahīñ hai to bhulā kyuuñ nahīñ dete
ḳhat kis liye rakkhe haiñ jalā kyuuñ nahīñ dete
kis vāste likkhā hai hathelī pe mirā naam
maiñ harf-e-ġhalat huuñ to miTā kyuuñ nahīñ dete
lillāh shab-o-roz kī uljhan se nikālo
tum mere nahīñ ho to batā kyuuñ nahīñ dete
rah rah ke na taḌpāo ai be-dard masīhā
hāthoñ se mujhe zahr pilā kyuuñ nahīñ dete
jab us kī vafāoñ pe yaqīñ tum ko nahīñ hai
'hasrat' ko nigāhoñ se girā kyuuñ nahīñ dete
jab pyar nahin hai to bhula kyun nahin dete
KHat kis liye rakkhe hain jala kyun nahin dete
kis waste likkha hai hatheli pe mera nam
main harf-e-ghalat hun to miTa kyun nahin dete
lillah shab-o-roz ki uljhan se nikalo
tum mere nahin ho to bata kyun nahin dete
rah rah ke na taDpao ai be-dard masiha
hathon se mujhe zahr pila kyun nahin dete
jab us ki wafaon pe yaqin tum ko nahin hai
'hasrat' ko nigahon se gira kyun nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.