Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab samaat teri aawaz talak jati hai

Saeed Ahmad

jab samaat teri aawaz talak jati hai

Saeed Ahmad

MORE BYSaeed Ahmad

    jab samā'at tirī āvāz talak jaatī hai

    jaane kyuuñ paañv zanjīr chhanak jaatī hai

    phir usī ġhaar ke asrār mujhe khīñchte haiñ

    jis taraf shaam sunsān saḌak jaatī hai

    jaane kis qarya-e-imkāñ se vo lafz aatā hai

    jis ḳhushbū se har ik satr mahak jaatī hai

    mū-qalam ḳhuuñ meñ Dubotā hai musavvir shāyad

    aañkh putlī se tasvīr chipak jaatī hai

    dāstānoñ ke zamānoñ ḳhabar miltī hai

    aa.ine meñ vo parī jab bhī jhalak jaatī hai

    ḳhushk pattoñ meñ kisī yaad sho'la hai 'sa.īd'

    maiñ bujhātā huuñ magar aag bhaḌak jaatī hai

    jab sama'at teri aawaz talak jati hai

    jaane kyun panw ki zanjir chhanak jati hai

    phir usi ghaar ke asrar mujhe khinchte hain

    jis taraf sham ki sunsan saDak jati hai

    jaane kis qarya-e-imkan se wo lafz aata hai

    jis ki KHushbu se har ek satr mahak jati hai

    mu-qalam KHun mein Dubota hai musawwir shayad

    aankh ki putli se taswir chipak jati hai

    dastanon ke zamanon ki KHabar milti hai

    aaine mein wo pari jab bhi jhalak jati hai

    KHushk patton mein kisi yaad ka sho'la hai 'said'

    main bujhata hun magar aag bhaDak jati hai

    Source :
    • Book : duniyaa zaad (Pg. 208)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now