jab sanam kun KHayal-e-bagh hua
jab sanam kuuñ ḳhayāl-e-bāġh huā
tālib-e-nashsha-e-farāġh huā
fauj-e-ushshāq dekh har jānib
nāznīñ sāhib-e-dimāġh huā
rashk suuñ tujh labāñ kī surḳhī par
jigar-e-lāla dāġh-dāġh huā
dil-e-ushshāq kyuuñ na ho raushan
jab ḳhayāl-e-sanam charāġh huā
ai 'valī' gul-badan kuuñ baaġh meñ dekh
dil-e-sad-chāk bāġh-bāġh huā
jab sanam kun KHayal-e-bagh hua
talib-e-nashsha-e-faragh hua
fauj-e-ushshaq dekh har jaanib
naznin sahib-e-dimagh hua
rashk sun tujh laban ki surKHi par
jigar-e-lala dagh-dagh hua
dil-e-ushshaq kyun na ho raushan
jab KHayal-e-sanam charagh hua
ai 'wali' gul-badan kun bagh mein dekh
dil-e-sad-chaak bagh-bagh hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.