jab se is shahr-e-be-makan mein hun
jab se is shahr-e-be-makān meñ huuñ
maiñ tire ism kī amaan meñ huuñ
gumbad-e-sher meñ jo gūñjtī hai
maiñ usī dard kī azaan meñ huuñ
maiñ ne tanhā.iyoñ ko pā liyā hai
is liye ḳhvāb hī ke dhyān meñ huuñ
titliyāñ rañg chuntī rahtī haiñ
aur maiñ ḳhushbuoñ kī kaan meñ huuñ
vahshateñ ishq aur majbūrī
kyā kisī ḳhaas imtihān meñ huuñ
ḳhvāhisheñ saaya saaya bikhrī haiñ
aur maiñ dhuup ke makān meñ huuñ
maiñ huuñ paikān-e-dard ai 'ḳhurshīd'
aur ik yaad kī kamān meñ huuñ
jab se is shahr-e-be-makan mein hun
main tere ism ki aman mein hun
gumbad-e-sher mein jo gunjti hai
main usi dard ki azan mein hun
main ne tanhaiyon ko pa liya hai
is liye KHwab hi ke dhyan mein hun
titliyan rang chunti rahti hain
aur main KHushbuon ki kan mein hun
wahshaten ishq aur majburi
kya kisi KHas imtihan mein hun
KHwahishen saya saya bikhri hain
aur main dhup ke makan mein hun
main hun paikan-e-dard ai 'KHurshid'
aur ek yaad ki kaman mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.