jab teri yaad ke rangon se bana li humne
jab tirī yaad ke rañgoñ se banā lī ham ne
dil kī dīvār pe tasvīr sajā lī ham ne
us ke asbāb se niklā hai pareshāñ kāġhaz
baat itnī thī magar ḳhuub uchhālī ham ne
tum se milne ko sitāroñ meñ bhī halchal dekhī
muddatoñ ba.ad koī faal nikālī ham ne
yūñhī auroñ ke liye laḌne chale aa.e ho
kab koī baat tumhārī thī jo Taalī ham ne
ab jo gulshan meñ ḳhizāoñ kī amal-dārī hai
fasl-e-gul kī kabhī buniyād na Daalī ham ne
ka.ī aañsū mirī ā.ankhoñ meñ hī tahlīl hue
dil meñ aa.e to phir ik yaad manā lī ham ne
jab teri yaad ke rangon se bana li hum ne
dil ki diwar pe taswir saja li hum ne
us ke asbab se nikla hai pareshan kaghaz
baat itni thi magar KHub uchhaali hum ne
tum se milne ko sitaron mein bhi halchal dekhi
muddaton baad koi fal nikali hum ne
yunhi auron ke liye laDne chale aae ho
kab koi baat tumhaari thi jo Tali hum ne
ab jo gulshan mein KHizaon ki amal-dari hai
fasl-e-gul ki kabhi buniyaad na Dali hum ne
kai aansu meri aaankhon mein hi tahlil hue
dil mein aae to phir ek yaad mana li hum ne
- Book : Pakistani Adab (Pg. 690)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.