jab zara raat hui aur mah o anjum aae
jab zarā raat huī aur mah o anjum aa.e
bār-hā dil ne ye mahsūs kiyā tum aa.e
aise iqrār meñ inkār ke sau pahlū haiñ
vo to kahiye ki laboñ pe na tabassum aa.e
na vo āvāz meñ ras hai na vo lahje meñ khanak
kaise kaliyoñ ko tirā tarz-e-takallum aa.e
bār-hā ye bhī huā anjuman-e-nāz se ham
sūrat-e-mauj uThe misl-e-talātum aa.e
ai mire vāda-shikan ek na aane se tire
dil ko bahkāne ka.ī talḳh tavahhum aa.e
jab zara raat hui aur mah o anjum aae
bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae
aise iqrar mein inkar ke sau pahlu hain
wo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
na wo aawaz mein ras hai na wo lahje mein khanak
kaise kaliyon ko tera tarz-e-takallum aae
bar-ha ye bhi hua anjuman-e-naz se hum
surat-e-mauj uThe misl-e-talatum aae
ai mere wada-shikan ek na aane se tere
dil ko bahkane kai talKH tawahhum aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.