jahan-e-rang-o-bu kitna hasin hai
jahān-e-rañg-o-bū kitnā hasīñ hai
ye gulshan rashk-e-firdaus-e-barīñ hai
mirā husn-e-nazar husn-āfrīñ hai
ki har zarra jahāñ kā mah-jabīñ hai
tirī hastī se qaa.em hai ye hastī
ye hastī ḳhud koī hastī nahīñ hai
tirā dar chhoḌ kar jaa.eñ kahāñ ham
ki ye amn-o-amāñ kī sar-zamīñ hai
fasād-añgezī-e-āb-o-havā se
mizāj-ḳhāk yaañ ab ātishīñ hai
'hakīm' is se ḳhudā mahfūz rakkhe
ye sarkash nafas mār-e-āstīñ hai
jahan-e-rang-o-bu kitna hasin hai
ye gulshan rashk-e-firdaus-e-barin hai
mera husn-e-nazar husn-afrin hai
ki har zarra jahan ka mah-jabin hai
teri hasti se qaem hai ye hasti
ye hasti KHud koi hasti nahin hai
tera dar chhoD kar jaen kahan hum
ki ye amn-o-aman ki sar-zamin hai
fasad-angezi-e-ab-o-hawa se
mizaj-KHak yan ab aatishin hai
'hakim' is se KHuda mahfuz rakkhe
ye sarkash nafas mar-e-astin hai
- Book : Shora-e-London (Pg. 78)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.