jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
jahāñ pe hotā huuñ aksar vahāñ nahīñ hotā
vahīñ talāsh karo maiñ jahāñ nahīñ hotā
agar tumhārī zabāñ se bayāñ nahīñ hotā
mirā vajūd kabhī dāstāñ nahīñ hotā
bichhaḌ gayā thā vo milne se pesh-tar varna
maiñ is tarah se kabhī rā.egāñ nahīñ hotā
nazar bachā ke nikalnā to chāhtā huuñ magar
vo kis jagah se hai ġhā.eb kahāñ nahīñ hotā
kabhī to yuuñ ki makāñ ke makīñ nahīñ hote
kabhī kabhī to makīñ kā makāñ nahīñ hotā
jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
wahin talash karo main jahan nahin hota
agar tumhaari zaban se bayan nahin hota
mera wajud kabhi dastan nahin hota
bichhaD gaya tha wo milne se pesh-tar warna
main is tarah se kabhi raegan nahin hota
nazar bacha ke nikalna to chahta hun magar
wo kis jagah se hai ghaeb kahan nahin hota
kabhi to yun ki makan ke makin nahin hote
kabhi kabhi to makin ka makan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.