Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaib o gareban TukDe TukDe daman ko bhi tar kiya

Zafar Anwar

jaib o gareban TukDe TukDe daman ko bhi tar kiya

Zafar Anwar

MORE BYZafar Anwar

    jaib o garebāñ TukḌe TukḌe dāman ko bhī taar kiyā

    kaise kaise ham ne apnī vahshat iz.hār kiyā

    tauq-o-salāsil ham ne pahne ḳhud ko supurd-dār kiyā

    ham ḳhud apnī jaan se guzre tab terā dīdār kiyā

    ḳhūn-e-jigar āñkhoñ se bahāyā ġham sahrā paar kiyā

    terī tamannā kyā ham ne jīvan ko āzār kiyā

    rañj-o-alam bastī meñ ham ab tak tanhā tanhā haiñ

    tum se thī ummīd-e-vafā so tum ne bhī inkār kiyā

    husn vafā ḳhuddārī ġhairat har ik nīlām huī

    ham logoñ ne āḳhir ik din bastī ko bāzār kiyā

    rāh-e-amal meñ baazī āḳhir ik din tum jiit ga.e

    ham ne vafā ik baar agar tum ne sitam sau baar kiyā

    ham to 'zafar' har aan usī ke ġham meñ Duube rahte haiñ

    jis ne ġham daulat baḳhshī ham pe baḌā upkār kiyā

    jaib o gareban TukDe TukDe daman ko bhi tar kiya

    kaise kaise hum ne apni wahshat ka izhaar kiya

    tauq-o-salasil hum ne pahne KHud ko supurd-dar kiya

    hum KHud apni jaan se guzre tab tera didar kiya

    KHun-e-jigar aankhon se bahaya gham ka sahra par kiya

    teri tamanna ki kya hum ne jiwan ko aazar kiya

    ranj-o-alam ki basti mein hum ab tak tanha tanha hain

    tum se thi ummid-e-wafa so tum ne bhi inkar kiya

    husn wafa KHuddari ghairat har ek ki nilam hui

    hum logon ne aaKHir ek din basti ko bazar kiya

    rah-e-amal mein bazi aaKHir ek din tum hi jit gae

    hum ne wafa ek bar agar ki tum ne sitam sau bar kiya

    hum to 'zafar' har aan usi ke gham mein Dube rahte hain

    jis ne gham ki daulat baKHshi hum pe baDa upkar kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now