jaisa tum chahoge waisa nahin hone wala
jaisā tum chāhoge vaisā nahīñ hone vaalā
varna hone ko yahāñ kyā nahīñ hone vaalā
muqtadir ho to ġharīboñ se jo chāho le lo
izzat-e-nafs kā saudā nahīñ hone vaalā
dil ye kahtā hai kisī ko bhī na lā ḳhātir meñ
aql kahtī hai ki achchhā nahīñ hone vaalā
amn parchār talak Thiik sahī lekin amn
tum ko lagtā hai ki hogā nahīñ hone vaalā
zar ke mīzān meñ har shaḳhs ko kyā tolte ho
har bashar to sag-e-duniyā nahīñ hone vaalā
merā chehra hai mire qalb kā akkās 'naqīb'
merā chehra tirā chehra nahīñ hone vaalā
jaisa tum chahoge waisa nahin hone wala
warna hone ko yahan kya nahin hone wala
muqtadir ho to gharibon se jo chaho le lo
izzat-e-nafs ka sauda nahin hone wala
dil ye kahta hai kisi ko bhi na la KHatir mein
aql kahti hai ki achchha nahin hone wala
amn parchaar talak Thik sahi lekin amn
tum ko lagta hai ki hoga nahin hone wala
zar ke mizan mein har shaKHs ko kya tolte ho
har bashar to sag-e-duniya nahin hone wala
mera chehra hai mere qalb ka akkas 'naqib'
mera chehra tera chehra nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.