janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle
janāza dhuum se us āshiq-e-jāñ-bāz kā nikle
tamāshe ko ajab kyā vo but-e-dam-bāz aa nikle
agar dīvāna terā jānib-e-kohsār jā nikle
qubūr-e-vāmiq-o-majnūñ se shor-e-marhabā nikle
abhī tiflī hī meñ vo but namūna hai qayāmat kā
javānī meñ nahīñ mālūm kyā nām-e-ḳhudā nikle
kahāñ vo sard-mehrī thī kahāñ ye garm-joshī hai
ajab kyā is karam meñ bhī koī tarz-e-jafā nikle
mirā afsāna hai majzūb kī baḌ gar koī DhūñDe
na zāhir ho ḳhabar us kī na us kā mubtadā nikle
vo mere lāshe par bole nazar yuuñ pher kar mujh se
chale hūroñ se tum milne nihāyat bevafā nikle
hamārā dil hamārī aañkh donoñ un ke maskan haiñ
kabhī us ghar meñ jā dhamke kabhī is ghar meñ aa nikle
paḌā kis kashmakash meñ yaar ke ghar raat maiñ jā kar
na uTh kar mudda.ī jaa.e na merā mudda.ā nikle
taḌaptā huuñ bujhā de pyaas merī āb-e-ḳhanjar se
ki mere dil se ai qātil tire haq meñ duā nikle
dikhā kar zahr kī shīshī kahā 'ranjūr' se us ne
ajab kyā terī bīmārī kī ye hakmī davā nikle
janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle
tamashe ko ajab kya wo but-e-dam-baz aa nikle
agar diwana tera jaanib-e-kohsar ja nikle
qubur-e-wamiq-o-majnun se shor-e-marhaba nikle
abhi tifli hi mein wo but namuna hai qayamat ka
jawani mein nahin malum kya nam-e-KHuda nikle
kahan wo sard-mehri thi kahan ye garm-joshi hai
ajab kya is karam mein bhi koi tarz-e-jafa nikle
mera afsana hai majzub ki baD gar koi DhunDe
na zahir ho KHabar us ki na us ka mubtada nikle
wo mere lashe par bole nazar yun pher kar mujh se
chale huron se tum milne nihayat bewafa nikle
hamara dil hamari aankh donon un ke maskan hain
kabhi us ghar mein ja dhamke kabhi is ghar mein aa nikle
paDa kis kashmakash mein yar ke ghar raat main ja kar
na uTh kar muddai jae na mera muddaa nikle
taDapta hun bujha de pyas meri aab-e-KHanjar se
ki mere dil se ai qatil tere haq mein dua nikle
dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne
ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.