jhulasti dhup mein mujhko jala ke marega
jhulastī dhuup meñ mujh ko jalā ke māregā
vo merā apnā hai chhāñv meñ lā ke māregā
vo chāhtā to mirī ḳhaak hī uḌā detā
ye kūza-gar kī ināyat banā ke māregā
use ḳhabar hai laḌā.ī meñ haar saktā hai
so apnā aap vo mujh meñ samā ke māregā
is ek ḳhauf se maiñ jañg meñ shahīd huā
adū kamīna hai ta.ane ḳhudā ke māregā
maiñ us ke jaal meñ ā.ūñgā dekhnā 'qaisar'
vo mujh ko dhoke se ghar meñ bulā ke māregā
jhulasti dhup mein mujh ko jala ke marega
wo mera apna hai chhanw mein la ke marega
wo chahta to meri KHak hi uDa deta
ye kuza-gar ki inayat bana ke marega
use KHabar hai laDai mein haar sakta hai
so apna aap wo mujh mein sama ke marega
is ek KHauf se main jang mein shahid hua
adu kamina hai tane KHuda ke marega
main us ke jal mein aaunga dekhna 'qaisar'
wo mujh ko dhoke se ghar mein bula ke marega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.