jhuT honTon pe bila-KHauf-o-KHatar aaya hai
jhuuT hoñToñ pe bilā-ḳhauf-o-ḳhatar aayā hai
muddatoñ shahr meñ rah kar ye hunar aayā hai
sañg-bāzoñ ko ḳhudā jaane ḳhabar kaise huī
ek dīvāna sar-e-rāhguzar aayā hai
jab bhī Thahre hue paanī kī tarah marne lagā
kaam usī vaqt mirā azm-e-safar aayā hai
maiñ bhī chaukas thā har ik vaar se pahle us ke
jis taraf se bhī vo aayā hai nazar aayā hai
shahr se lauT to aayā hai magar lagtā hai
terā 'ḳhālid' kisī tūfāñ se guzar aayā hai
jhuT honTon pe bila-KHauf-o-KHatar aaya hai
muddaton shahr mein rah kar ye hunar aaya hai
sang-bazon ko KHuda jaane KHabar kaise hui
ek diwana sar-e-rahguzar aaya hai
jab bhi Thahre hue pani ki tarah marne laga
kaam usi waqt mera azm-e-safar aaya hai
main bhi chaukas tha har ek war se pahle us ke
jis taraf se bhi wo aaya hai nazar aaya hai
shahr se lauT to aaya hai magar lagta hai
tera 'KHalid' kisi tufan se guzar aaya hai
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 85)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.